Monday, 27 October 2014

Choti si aik naao banane ki dair hai..

Choti si aik naao* banane ki dair hai,
Daryaa ke paar bas mere jaane ki dair hai,
Aik pal main jaag jaye ga soya hua mehal,
Phir se qadeem geet sunane ki dair hai,
Shehzaadi chal parre gi mere sath khud’bakhud,
Uss se to sirf aankh milane ki dair hai,
Qaleen baadlon main urre ga humain liye huye,
Qadmon main aik baar bichaane ki dair hai,
Sar pe hamare ho ga parindon ka saaybaa’n,
Aik dhoop ki kiran faqat aaney ki dair hai,
Aaney lage gi titliyaan khilne lage ge phool,
Sehraa main ja ke haima* lagane ki dair hai,
Jugnu ki tarah chaand urre ga ird gird,
Sooraj ke khawb’gaah main jaane ki dair hai,
Utrain gi pariyan haath main taarey liye huye,
Nazren falak ki samt uthaane ki dair hai,
Hathon se apni rait pe likhti phire gi naam,
Hum kon hain, hawaa ko yeh bataane ki dair hai..

No comments:

Post a Comment

ad